• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Karwan Sust Rahbar Khamosh

Karwan Sust Rahbar Khamosh

nasir-kazmi

karvan sust rahbar khamosh

kaise guzrega ye safar khamosh

tujhe kahna hai kuchh magar khamosh

dekh aur dekh kar guzar khamosh

yuun tire raste men baitha huun

jaise ik sham-e-rahguzar khamosh

tu jahan ek baar aaya tha

ek muddat se hai vo ghar khamosh

us gali ke guzarne valon ko

takte rahte hain bam-o-dar khamosh

uth gae kaise kaise pyare log

ho gae kaise kaise ghar khamosh

ye zamin kis ke intizar men hai

kya khabar kyuun hai ye nagar khamosh

shahr sota hai raat jaati hai

koi tufan hai parda-dar khamosh

ab ke beda guzar gaya to kya

hain abhi kitne hi bhanvar khamosh

chadhte dariya ka dar nahin yaaro

main huun sahil ko dekh kar khamosh

abhi vo qafile nahin aae

abhi baithen na ham-safar khamosh

har-nafas ik payam tha ‘nasir’

ham hi baithe rahe magar khamosh

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noon-meem-rashid

Talab Ke Tale

Teri Be-Iltifati Kya Koi Kam Hoti Jati Hai

abu-mohammad-wasil-bahraichi

Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke dekh Liya

Hum Kisi Baat Par Nahin Rote

Bahut Der Se Khana Khaya Tha Aaj

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet