koi bahar ki ḳhatir koi ḳhizan ke liye
bas ek main hi raha sirf gulsitan ke liye
ilahi mujh se nazar chhin le ki ahl-e-nazar
tamam-umr taḌapte hain raz-dan ke liye
masarraten jo milin tere lutf-e-paiham se
machal rahi hain kisi jaur-e-na-gahan ke liye
mujhe hain ḳhaar se kuchh ḳhaas nisbaten ki ye gul
bahar men na khila raunaq-e-ḳhizan ke liye
hamen un ahl-e-suḳhan men na kar shumar ki ye
fughan bhi karte hain ḳhush-vaqti-e-fughan ke liye
karen na zikr tumhara to kya karen ki hamen
kuchh aur mil na saka apni dastan ke liye
hamare des men iran-o-najd se ustad
bula.e jaate hain ta.alim-e-ashiqan ke liye
hamare shahr men fan ke ijara-daron ne
kuchal rakha hai dilon ko faqat zaban ke liye
ham apne des aur apne hi shahr men ‘ali’
gada-gadi pe hain majbur soz-e-jan ke liye
Leave a Reply