ishq-e-nakam ka dastur tumhen kya ma.alum
tum ho us se had bahut duur tumhen kya ma.alum
gham ki duniya se ho tum duur tumhen kya ma.alum
aah kyon karte hain majbur tumhen kya ma.alum
zaḳhm-e-dil ḳhugar-e-azar ka baḌhte baḌhte
kis tarah banta hai nasur tumhen kya ma.alum
ḳhatm hone ko hai hangama-e-tufan-e-hayat
dard kyon hota hai kafur tumhen kya ma.alum
ishq-e-sar-josh ne kya dil pe sitam toḌe hain
nashsha-e-husn se ho chuur tumhen kya ma.alum
tum alag ho ga.e parde se gira kar bijli
kis pe kya guzri sar-e-tur tumhen kya ma.alum
apne sheron men ada karke tumhari shoḳhi
ho gaya ‘jurm’ bhi mash.hur tumhen kya ma.alum
Leave a Reply