hamesha ki tarah banhen miri patvar karne ka
kiya hai faisla naav ne dariya paar karne ka
vahi hai mashghala sadiyon purana aaj bhi apna
zamin par bojh hone asman ko baar karne ka
safar ka marhala to ba.ad men mahl-e-nazar hoga
abhi to mudda.a hai rasta pur-ḳhar karne ka
ta.alluq TuTta jaata hai apne-ap se mera
tavassut ban rahi hai agahi bezar karne ka
mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat men
mira ma.amul hai asaniyan dushvar karne ka
tamaddun ko hava deti hai ashufta-sari meri
mujhe ta.amir karta hai junun mismar karne ka
kahan tak aur jaane azmati ja.egi mujh par
hunar jo janti hai sha.eri bekar karne ka
vo kuchh se kuchh bana Dalega taslimat ke ma.ani
saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka
na jaane soch kar suraj ne kya shab ki qalam-rau par
irada multavi hi kar diya yalghar karne ka
Leave a Reply