jo na vahm-o-guman men aave
kis tarah tere dhyan men aave
tujh se hamdam rakhun na poshida
hal-e-dil gar bayan men aave
meri ye aarzu hai vaqt-e-marg
us ki avaz kaan men aave
main na dunga javab tu kah le
jo ki teri zaban men aave
ye shab-e-vasl ḳhair se guzre
to miri jaan jaan men aave
haa.e kya ho abhi jo ai hamdam
vo sanam is makan men aave
gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar
vo hi saare jahan men aave
us ki tarif kya karun ‘ghamgin’
hal-ata jis ki shaan men aave
Leave a Reply