dil use de diya ‘sakhi’ hi to hai
marhaba parvarish-e-ali hi to hai
dil diya hai dilavari hi to hai
jaan bhi us ko denge ji hi to hai
kyuun hasinon ki aankh se na lade
meri putli ki mardumi hi to hai
na hui ham se umr bhar sidhi
abru-e-yar ki kaji hi to hai
aariz us ka na dekhun mar jaun
zindagi meri aarzi hi to hai
na hanse vo na gul dahan ka khula
abhi nam-e-khuda kali hi to hai
ki khitabat ko gar khuda samjha
banda bhi akhir aadmi hi to hai
gaal men vaan hava ke sadme se
pad gaya niil nazuki hi to hai
aaj kyuun chaunk chaunk padte ho
is makan men faqat ‘sakhi’ hi to hai
Leave a Reply