phir aa gai ik but pe tabiat ko hua kya
talti hi nahin sar se musibat ko hua kya
mahrum phir aaya dar-e-mai-khana se vaaiz
rindan-e-qadah-khvar ki himmat ko hua kya
maqbul-e-dua ho na asar ah-o-fughan men
is daur men tasir-e-mohabbat ko hua kya
is husn-o-latafat pe kya sang-dil aisa
hairat men huun allah ki hikmat ko hua kya
jaage to koi anjuman-e-ghair men shab bhar
aur chhai mire munh pe nadamat ko hua kya
danista naqab ulte hue hain sar-e-bazar
aur us pe ye kahte hain ki khilqat ko hua kya
lo ham to chale kausar o tasnim pe zahid
tum yunhi kahe jaao ki rahmat ko hua kya
‘mail’ nahin kya aur zamane men ilahi
mujh par hi utarti hai ye aafat ko hua kya
Leave a Reply