badan men na pahli si hiddat
na dhadkan hai dil men
jiye jaane ki ek be-sharm aadat
idhar kuchh dinon se
nigahon men apni subuk kar rahi hai
hazaron bakhedon men bhi jaane kab
be-satr aa khadi hoti hai ye haqiqat
to kya main bhi un an-ginat logon men huun
jinhen zindagi ik saza hai
koi bad-dua hai
magar ji rahe hain
abhi kuchh dhuan sa nazar aa raha hai
zara dhonkni se hava de ke dekhen
bura kya hai chingari do ek nikle
bhabhak utthen phir
sard padte angare
Leave a Reply