• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baam Par Aae Kitni Shan Se Aaj

Baam Par Aae Kitni Shan Se Aaj

riyaz-khairabadi

baam par aae kitni shaan se aaj

badh gae aap asman se aaj

jab kaha ham khafa hain jaan se aaj

bole khush kar den imtihan se aaj

kis maze ki hava men masti hai

kahin barsi hai asman se aaj

be-takalluf na ho koi un se

bane baithe hain mehman se aaj

main ne chheda to kis ada se kaha

kuchh sunoge miri zaban se aaj

dil ke tukdon ki tarah ham ne chune

tukde kuchh dil ki dastan se aaj

nichi dadhi ne aabru rakh li

qarz pi aae ik dukan se aaj

unche kothon ke baithne vaale

baten karte the asman se aaj

na-tavan dil ki be-zaban dil ki

aap ne sun li apne kaan se aaj

koi ja kar ‘riyaz’ ko samjhae

kuchh khafa hain vo apni jaan se aaj

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Main Ki KHud Apne KHayalat Ka Zindani Hun

Fasurda Lakh Ho Dil Shoala-Samani Nahin Jati

Chup Rahoge to Zamana Is Se Bad-Tar Aaega

Ai Masiha-Dam Tere Hote Hue Kya Ho Gaya

allama-iqbal

Koi dekhe To Meri Nai-Nawazi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet