TuuTi hui shabih ki tasḳhir kya karen
bujhte hue ḳhayal ko zanjir kya karen
andha safar hai ziist kise chhoḌ de kahan
uljha hua sa ḳhvab hai tabir kya karen
siine men jazb kitne samundar hue magar
ankhon pe iḳhtiyar ki tadbir kya karen
bas ye hua ki rasta chup-chap kaT gaya
itni si vardat ki tash.hir kya karen
saa.at koi guzar bhi len ji to len kabhi
kuchh aur apne baab men tahrir kya karen
Leave a Reply