hijab koi nahin hai naqab koi nahin
miri khuli hui ankhon men khvab koi nahin
hai bas sukun hi sukun iztirab koi nahin
is inqalab ke baad inqalab koi nahin
hayat-e-ishq men ye vaqfa-e-sukun kaisa
saval koi nahin hai javab koi nahin
jahan-e-ilm ka yaaro ajiib hai dastur
ki madrase to bahut hain nisab koi nahin
shab-e-siyah men bhala kaun aane vaala hai
koi nahin dil-e-khana-kharab koi nahin
talab ki raah men har shakhs hai barabar ka
yahan sabhi hain samundar sarab koi nahin
shab-e-firaq kuchh is tarah mutmain huun ‘ziya’
ki jaise dida-o-dil par azaab koi nahin
Leave a Reply