may ka aag lagata hua mahina tha
ghata ne mujh se mira aftab chhina tha
baja ki tujh sa rafugar na mil saka lekin
ye taar taar vajud ek din to siina tha
use ye zid thi ki har saans us ki khatir ho
magar mujhe to zamane ke saath jiina tha
ye ham hi the jo bacha laae apni jaan de kar
hava ki zad pe tiri yaad ka safina tha
nadi khajil thi ki bhigi hui thi paani men
magar pahad ke mathe pe kyuun pasina tha
tum un sulagte hue ansuon ka gham na karo
hamen to rose hi ye zahr hans ke piina tha
tamam-umr kisi ka na ban saka ‘shabnam’
vo jis ko baat banane ka bhi qarina tha
Leave a Reply