• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Taghaful Ko Ilaj-E-Gham-E-Pinhan Samjha

Wo Taghaful Ko Ilaj-E-Gham-E-Pinhan Samjha

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

vo taghaful ko ilaj-e-gham-e-pinhan samjha

chara-gar bhi na mire dard ka darman samjha

tab-e-didar na laai nigah-e-naz-parast

aur vo dida-e-ushshaq pe ehsan samjha

jama khatir na hui did-e-butan se apni

daftar-e-husn ko ajza-e-pareshan samjha

na hui jalva-gah-e-naz ki vusat maalum

go main har zarra ko ik dida-e-hairan samjha

thi tiri yaad bhi kya anjuman-ara-e-khayal

dil men jo shoala utha sham-e-shabistan samjha

shorish-e-ishq ka asan na tha andaza

chaak ho kar miri vahshat ko gareban samjha

sahib-e-dil hai vahi murshid-e-kamil hai vahi

mere chehre se jo mera gham-e-pinhan samjha

har nafas shahid-e-dushvari-e-ulfat hai ‘nazar’

sakht mushkil tha vahi kaam jo asan samjha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Lab Tak Jo Na Aaya Tha Wahi Harf-E-Rasa Tha

poet

Pareshan Haal Daman Dhajjiyan Surat Faqirana

Gham Nahin Naz-E-Husn Hai Husn Ke Naz uThae Ja

Shishe Ki Diwar Thi Hail Qurb Ki Aisi Surat Thi

Kurra-E-Arz Ko Tarik Bana Dena Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet