• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aarzu Jurm Hai Muddaa Jurm Hai

Aarzu Jurm Hai Muddaa Jurm Hai

aarzu jurm hai mudda.a jurm hai

us faza men ummid-e-vafa jurm hai

har taraf hain mohabbat ki majburiyan

ibtida jurm hai intiha jurm hai

zauq-e-didar par laakh pabandiyan

dekh kar phir unhen dekhna jurm hai

zindagi-bhar ki ninden uchaT ja.engi

saya-e-zulf men baiThna jurm hai

har saza ko kisi ki ata maniye

ye bhi kyuun puchhiye kaun sa jurm hai

aankh uTha kar unhen dekhiye kis tarah

sar uThane ka bhi hausla jurm hai

un ke jalvon ka jab samna ho gaya

phir kisi aur ka samna jurm hai

ḳhamushi bhi saliqa hai fariyad ka

un ke jaur-o-sitam par gila jurm hai

aise mahaul men aa ga.e ham jahan

apne mahaul ka ja.eza jurm hai

maslak-e-ishq hai pairvi-e-vafa

hikmat-o-maslihat sochna jurm hai

agahi shart hai gumrahi ke liye

gumrahi par pata puchhna jurm hai

dava-e-ishq hai jurm-e-avval agar

inhiraf-e-vafa dusra jurm hai

un ki shan-e-karam kah rahi hai ‘rishi’

un se ab koi bhi iltija jurm hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nahin Zarur Ki Takmil-E-Muddaa Dekhen

poet

Kar Ke Shikayat-E-Gham-E-Haalat Mat Ganwa

shahryar

Wamandagi-E-Shauq

poet

Hai dil Ko Mere Aariz-E-Jaanan Se Irtibaat

poet

Bahaar Aae Anadil Ne Mil KHarosh Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet