rok rakkha tha jo in ankhon men khara paani
meri divaron men dar aaya vo saara paani
ek dariya ko dikha.i thi kabhi pyaas apni
phir nahin manga kabhi main ne dobara paani
apni ankhon se nichoḌunga kisi roz use
karta rahta hai bahut mujh se kinara paani
ab ke barish pe koi haq nahin insanon ka
ab ke chiḌiyon ke liye rab ne utara paani
main samundar se lagi shor-zamin jaisa huun
marta rahta hai mujh ko mira khara paani
main ne in ankhon se kuchh moti chune the ‘at.har’
mere honTon men abhi jazb hai khara paani
Leave a Reply