ajiib rona sisakna navah-e-jan men hai
ye aur kaun mire saath imtihan men hai
ye raat guzre to dekhun taraf taraf kya hai
abhi to mere liye sab kuchh asman men hai
kaTega sar bhi isi ka ki ye ajab kirdar
kabhi alag bhi hai shamil bhi dastan men hai
tamam shahr ko mismar kar rahi hai hua
main dekhta huun vo mahfuz kis makan men hai
na jaane kis se tiri guftugu rahi ‘bani’
ye ek zahr ki ab tak tiri zaban men hai
Leave a Reply