chala kar tir-e-mizhgan yuun vo ghabraya nahin karte
jo marte hain hasinon par vo mar jaaya nahin karte
bharose par kisi leader ke rahna ik himaqat hai
ye sukhe peḌ hain yaaro kabhi saaya nahin karte
hasinon ko na ghuro shaiḳh ji palken to jhapkao
za.ifi men to itni raal Tapkaya nahin karte
janab-e-shaiḳh sattar saal men karte ho kyuun shadi
nahin hain daant to phir gosht bhi khaya nahin karte
unhen mehman kahiye ahl-e-ḳhana kahiye kya kahiye
jo aa jaate hain ik din aaTh din jaaya nahin karte
suna karte hain rona aur gaana sab ko aata hai
sada roya to karte hain kabhi gaaya nahin karte
tumhare chiḳhne chillane ka ho kya asar mujh par
garajte hain jo badal menh vo barsaya nahin karte
gharibon ka baha kar ḳhuun hamdardi jatate ho
khilaune haath men de de ke bahlaya nahin karte
‘rahim’ ab kosta kyuun hai tiri qismat hi khoTi thi
jo qismat men likha hai us pe pachhtaya nahin karte
Leave a Reply