
Shauq Bahraichi
iman ki laghzish ka imkan are tauba
bad-chalni men zahid ka chalan are tauba
uTh kar tiri chaukhaT se ham aur chale jaa.en
england are tauba japan are tauba
hai god ke palon se ab ḳhauf-e-dagha-bazi
ye apne hi bhanjon par bohtan are tauba
insanon ko din din bhar ab khana nahin milta
muddat se farokash hain ramzan are tauba
lillah ḳhabar liije ab qalb-e-shikasta ki
girta hai mohabbat ka dalan are tauba
daman-e-taqaddus par daghon ki faravani
ik maulvi ke ghar men shaitan are tauba
ab ḳhairiyaten sar kari ma.alum nahin hotin
ganjon ko hai naḳhun ka arman are tauba
mashriq pe bhi nazren hain maghrib pe bhi nazren hain
zalim ke taḳhayyul ki lamban are tauba
ai ‘shauq’ na kuchh kahiye halat dil-e-muztar ki
hota hai masiha ko ḳhafqan are tauba

Leave a Reply