• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Kabhi Nam-E-Mohamad Lab Pe Mere Aae Hai

Jab Kabhi Nam-E-Mohamad Lab Pe Mere Aae Hai

jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aa.e hai

lab se lab milte hain jaise dil se dil mil jaa.e hai

jab koi ghuncha chaman ka bin khile murjha.e hai

kya kahen kya kya chaman valon ko rona aa.e hai

koi kah deta ki ab kaahe ko qasid aa.e hai

zo.af se bimar ko uTTha na baiTha jaa.e hai

ho na ho kuchh baat hai tab ji mira ghabra.e hai

aap aa.e hain na ḳhat hi bhej kar bulva.e hai

raat bhi rote kaTi hai din bhi guzra jaa.e hai

aane vaale kuchh nahin ma.alum kab se aa.e hai

tere divane pe aisi bhi ghaḌi aa jaa.e hai

dam-ba-ḳhud rah jaa.e hai socha na samjha jaa.e hai

ek din vo din the rone pe hansa karte the ham

ek ye din hain ki ab hansne pe rona aa.e hai

barq ko kya jaane kya zid hai nasheman se mire

chaar tinkon ki qasam vo bhi na dekha jaa.e hai

hijr ki raton men bhi tanha kahan rahta hai zehn

tum kabhi aa jaao ho, dushman kabhi aa jaa.e hai

ji men rakhte hain kahen bhi to kisi se kya kahen

shikva un ka yuun to lab par baar baar aa jaa.e hai

bigḌi ban jaati hai, ye sach hai magar ai ham-nashin

na-muradi ka bura ho, ji hi baiTha jaa.e hai

ik ghalat sajde se kya hota hai vaa.iz kuchh na puchh

umr bhar ki sab riyazat ḳhaak men mil jaa.e hai

aap ki ik zulf suljhane ko lakhon haath hain

meri gutthi bhi koi aa kar kabhi suljha.e hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afroz-alam

Bada Khushnuma Ye Maqam Hai Nai Zindagi Ki Talash Kar

Shab-E-Daraaz Tujhe Kuchh KHabar Gai Ki Nahin

poet

Kis Tarah Yaad Mein Us shoKH Ki Bekal Dariya

Gungunate Hue Aanchal Ki Hawa De Mujhko

Na Tanha Nastarin O Nastaran Se Ishq Hai Mujhko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet