zinda rahne ka vo afsun-e-ajab yaad nahin
main vo insan huun jise nam-o-nasab yaad nahin
main ḳhayalon ke pari-ḳhanon men lahraya huun
mujh ko bechargi-e-mahfil-e-shab yaad nahin
ḳhvahishen rasta dikha deti hain varna yaaro
dil vo zarra hai jise shahr-e-talab yaad nahin
gard si baaqi hai ab zehn ke a.ine par
kaise ujḌa hai mira shahr-e-tarab yaad nahin
tabsira aap ke andaz-e-karam par kya ho
mujh ko ḳhud apni tabahi ka sabab yaad nahin
ḳhud faramoshi ne taklif ki shiddat kam ki
mujh ko kab yaad the ye zulm jo ab yaad nahin
mujh se puchha jo gaya jurm mira mahshar men
davar-e-hashr se kah dunga ki ab yaad nahin
ijz ke saath chale aa.e hain ham ‘yazdani’
koi aur un ko mana lene ka Dhab yaad nahin
Leave a Reply