baja ki hai pas-e-hashr ham ko karenge pas-e-shabab pahle
hisab hota rahega yarab hamen manga de sharab pahle
faza-e-shab hans ke jagmagai vo naznin subh ban ke aai
hua hai raushan mire shabistan men chand se aftab pahle
zaban pe aaya na harf-e-matlab ki kah gaiin kuchh sharir nazren
saval karne na paae hain ham ki mil gaya hai javab pahle
jinan men pahle-pahal piyega to ladkhadata phirega zahid
surur-e-kausar ki hai agar dhan jahan men pi le sharab pahle
hai khusrav-e-ishq ka ye farman ki dil lagana nahin hai asan
jise ho ku-e-butan ka arman vo ku-ba-ku ho kharab pahle
gham-o-alam ranj-o-yas-o-hasrat uthaunga sab ke rukh se parde
tumhen qasam hai dil hazin ki uthao to tum naqab pahle
ilahi vo bu-e-pairahan se bhi pahle ho ham-kanar aa kar
chaman men hota hai jalva-afroz phuul se mahtab pahle
ye kis ke rang-e-rukh-e-baharin ne bakhsh di hai taravat-e-nau
shagufta hota na tha gulistan men us ada se gulab pahle
nigah-e-saqi ki muskurai kaha jab ‘akhtar’ ne apni dhan men
piyenge piite rahenge mai-kash magar ye khana-kharab pahle
Leave a Reply