achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
dua asan nahin rahna sukhan dushvar ho jaana
tumhen dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen
mohabbat ke sabhi rishton ka yuun nadar ho jaana
abhi to be-niyazi men takhatub ki si khushbu thi
hamen achchha laga tha dard ka dildar ho jaana
agar sach itna zalim hai to ham se jhuut hi bolo
hamen aata hai patjhad ke dinon gul-bar ho jaana
abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan men
agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana
hava to ham-safar thahri samajh men kis tarah aae
havaon ka hamari raah men divar ho jaana
abhi to silsila apna zamin se asman tak tha
abhi dekha tha raton ka sahar-asar ho jaana
hamare shahr ke logon ka ab ahval itna hai
kabhi akhbar padh lena kabhi akhbar ho jaana
Leave a Reply