ḳhayal us ka kahan se kahan nahin jaata
vahan bhi jaa.e ki jis ja guman nahin jaata
bas apne baagh men mahv-e-ḳhiram rahta hai
ki ḳhud se duur vo sarv-e-ravan nahin jaata
hijab us ke mire biich agar nahin koi
to kyuun ye fasla-e-darmiyan nahin jaata
koi Thaharta nahin yuun to vaqt ke aage
magar vo zaḳhm ki jis ka nishan nahin jaata
na jaane us ki zaban men hai kya asar ‘farruḳh’
ki us se ho ke koi bad-guman nahin jaata
Leave a Reply