roz ye ḳhvab Darata hai mujhe
koi saaya liye jaata hai mujhe
ye sada kaash usi ne di ho
is tarah vo hi bulata hai mujhe
main khincha jaata huun sahra ki taraf
yuun to dariya bhi bulata hai mujhe
dekhna chahta huun gum ho kar
kya koi DhunD ke laata hai mujhe
ishq bina.i baḌha deta hai
jaane kya kya nazar aata hai mujhe
Leave a Reply