haqq-e-ne.amat ada nahin hota
ham se shukr-e-ḳhuda nahin hota
kya visal-e-ḳhuda nahin hota
ishq-e-sadiq se kya nahin hota
be-baha dil ko nazr karta kaun
husn agar dilruba nahin hota
aah par hans ke ye diya ta.ana
yuun to nam-e-vafa nahin hota
huun agar laakh baar bhi sadqe
husn ka den ada nahin hota
hijr men gham-gusar mahram-e-raz
dard-o-gham ke siva nahin hota
jo satata hai dil jalata hai
us ka hargiz bhala nahin hota
ishq ka naam muft hai badnam
ishq achchha bura nahin hota
aah se arsh hilta hai ai ‘shad’
fazl-e-maula se kya nahin hota
Leave a Reply