Gard-Aluda Faza Binai Gard-Alud Thi

gard-ālūda fazā bīnā.ī gard-ālūd thī

pattharoñ ke shahr meñ sunvā.ī gard-ālūd thī

pattiyoñ par thī raqam saare chaman ki dāstāñ

aur chaman ki dāstāñ-ārā.ī gard-ālūd thī

ḳhuun meñ Duubī huī kuchh uñgliyāñ thiiñ soch meñ

duur vo thā hāshiya-ārā.ī gard-ālūd thī

vo use oḌhe rahā chehre pe ḳhushbū ki tarah

haañ vahī jis shaḳhs ki tanhā.ī gard-ālūd thī

ab ki rut badlī to phūloñ ko pasīna aa gayā

ab ki ḳhushbū ki karam-farmā.ī gard-ālūd thī

maiñ ‘tapish’ jin raġhbatoñ ko oḌh kar phirtā rahā

vo dar-o-dīvār vo añgnā.ī gard-ālūd thī

Leave a Comment