meri nafrat bhi hai sheron men mire pyaar ke saath
main ne likkhi hai ghazal jur.at-e-iz.har ke saath
eqtidar ek taraf ek taraf darveshi
donon chizen nahin rah sakti hain fankar ke saath
ik ḳhala dil men bahut din se makin hai ab to
yaad guzra hua mausam bhi nahin yaar ke saath
badbanon se ulajhti hai hava roz magar
kashtiyan soi hain kis shaan se patvar ke saath
shahr men jahl ki arzani hai lekin ab tak
main hi samjhauta nahin karta huun me.aar ke saath
mere ash.ar hain naqid ke liye kuchh bhi nahin
dard ko main nahin likhta kabhi dushvar ke saath
Leave a Reply