karte na ham jo ahl-e-vatan apna ghar ḳharab
hote na yuun hamare javan dar-ba-dar ḳharab
a.amal ko parakhti hai duniya ma.aal se
achchha na ho samar to hai goya shajar ḳharab
ik baar jo utar gaya paTri se dosto
dekha yahi ki phir vo hua umr bhar ḳharab
manzil to ik taraf rahi itna zarur hai
ik dusre ka ham ne kiya hai safar ḳharab
hoti nahin vo puuri tarah phir kabhi bhi Thiik
ho jaa.e ek baar koi chiiz gar ḳharab
ai dil mujhe pata hai ki laaya hai tu kahan
chal ḳhud bhi ab ḳharab ho mujh ko bhi kar ḳharab
is karobar-e-ishq men aisi hai kya kashish
pahle pidar ḳharab hua phir pisar ḳharab
ik din bhi ashiyan men na guzra sukun se
karte rahe hain mujh ko mire bal-o-par ḳharab
rah rah ke shab aati hai ustad ki ye baat
karti hai arzu-e-kamal-e-hunar ḳharab
is tira-ḳhak-dan ke liye kya bila sabab
sadiyon se ho rahe hain ye shams-o-qamar ḳharab
lagta hai in ko zang kisi aur rang ka
kis ne kaha ki hote nahin sim-o-zar ḳharab
ik qadr-dan mila to ye socha ki aaj tak
hote rahe kahan mire la.al-o-gohar ḳharab
ḳhamosh aur udaas ho ‘basir’ jo sub.h se
aa.i hai aaj phir koi ghar se ḳhabar ḳharab
Leave a Reply