Tu Chand Hai to Chand-Nagar Mujhse Chhin Le

tū chāñd hai to chāñd-nagar mujh se chhīn le

maiñ kyā karūñgā ḳhāk-basar mujh se chhīn le

ab terī be-ruḳhī kā bhī aatā hai yuuñ ḳhayāl

jaise koī matā-e-digar mujh se chhīn le

tū ḳhud hī apnī tarz-e-sitam par nigāh rakh

maiñ kyā kahūñ ye dard-e-jigar mujh se chhīn le

Daste raheñge zehn ko kab tak mushāhidāt

yārab ye imtiyāz-e-nazar mujh se chhīn le

pahchāntī nahīñ hai use jab kisī kī aañkh

be-kār hai nishān-e-hunar mujh se chhīn le

rū-e-sahar tū ḳhair mujhe kyā dikhā.egā

tū ārzū-e-dīd-e-sahar mujh se chhīn le

Leave a Comment