main phuul phuul safar kar rahi thi khvabon ka
phuvar laai thi tohfa nae gulabon ka
mile to qurb ka vo e’timad hi na raha
bhala tha us se to mausam vahi hijabon ka
vo zakhm chun ke mire khaar mujh men chhod gaya
ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka
vo jangalon se nikale hue gharib parind
jahan gae unhen maskan mila uqabon ka
har ek puchhta phirta hai phir na kuchh taabir
ki jaise shahr men mela tha raat khvabon ka
main jo bhi kuchh huun ye sachchai meri apni hai
tamam jhuut tha likkha hua kitabon ka
Leave a Reply