zinda rahe to ham ko na pahchan di ga.i
marne ke ba.ad ḳhuub pazira.i ki ga.i
kya kya sitam hue hain mere saath barha
dhoke se kitni baar miri jaan li ga.i
siine se mere noch li tasvir-e-yar bhi
shiryan-e-zindagi hi miri kaaT di ga.i
tanha.iyon men main teri yadon ke saath tha
mahfil saji to yadon se vabastagi ga.i
is la-dava maraz ka asar puchhte ho kya
dil ne diya na saath to tanha.i bhi ga.i
dariya masarraton ka to ab suukh hi gaya
ḳhun-e-jigar piya to miri tishnagi ga.i
deta javab kya main takallum ka yaar ke
us ki nigah-e-naz mire honT si ga.i
arbab-e-ilm-o-fan ki tavajjoh hui to ‘shad’
mahfil men tere fan ko bhi pahchan di ga.i
Leave a Reply