use kahna ki jab jab ahaTon pe dil dhaḌakta hai
use kahna jahan saara usi ko pyaar kahta hai
use kahna zamane se baghavat kar nahin sakti
use kahna magar tark-e-vafa se Dar bhi lagta hai
use kahna duaon men ḳhuda se tum ko manga hai
use kahna ḳhuda dil ki dua.en ḳhuub sunta hai
use kahna ki sadiyan ho ga.iin bichhḌe hue tum se
use kahna lahu ankhon se meri ab bhi bahta hai
use kahna muqaddar ka likha ab Tal nahin sakta
use kahna bhala qismat se koi apni laḌta hai
use kahna jise tum pyaar se kahte the ‘nilufar’
use kahna tumhen ye naam kya ab yaad rahta hai
Leave a Reply