gham-e-dil ko bahar-e-be-ḳhizan kahna hi paḌta hai
mohabbat ko hayat-e-javidan kahna hi paḌta hai
nigahen hal-e-dil ki tarjumani kar hi deti hain
ḳhamoshi ko bhi ik din dastan kahna hi paḌta hai
ghubar-e-rah rah jaata hai pichhe chhuT kar lekin
use phir bhi nishan-e-karvan kahna hi paḌta hai
ye maana vo jafa-parvar hai zalim hai sitamgar hai
magar phir bhi use aram-e-jan kahna hi paḌta hai
bura ho ya bhala ik aasra hai sar chhupane ka
ba-har-surat qafas ko ashiyan kahna hi paḌta hai
kisi ko jab vo mere dard ka qissa sunate hain
‘sa.id’ us ko hadis-e-digaran kahna hi paḌta hai
Leave a Reply