tiri ankhen tira husn-e-javan tahrir karte hain
zamin ki pastiyon men asman tahrir karte hain
koi mausam ḳhizan se ashna us ko nahin karta
ham apne ḳhuun se jo gulsitan tahrir karte hain
zamane ki koi karvaT use sanvla nahin sakti
ham apni aanch se jo kahkashan tahrir karte hain
koi divar us ka rasta kya rok sakti hai
hava ki lauh par apna bayan tahrir karte hain
guzarte vaqt ko ab-e-ravan ka naam dete hain
faraghat ko nashat-e-be-karan tahrir karte hain
ḳhayal-o-ḳhvab ko alfaz men Dhala nahin jaata
jo karna chahte hain vo kahan tahrir karte hain
zamane ko vo apni dastan ma.alum hoti hai
haqiqat men ham apni dastan tahrir karte hain
Leave a Reply