main to aisa koi manzar kabhi dekha na tha
din Dhala jaata tha aur saaya koi lamba na tha
phir to us ke samne jaise koi rasta na tha
jitne vaala kabhi yuun hausla haara na tha
log to kahte the lekin main bhi to andha na tha
main ne ḳhud dekha hai mere dhaḌ pe bhi chehra na tha
rokna chaha tha main ne vo bhi ruk jaata magar
ek jhonka tha hava ka vo Thahar sakta na tha
kitne hi kachche ghaḌe lahron ko yaad aane lage
sahilon ke honTon par aisa koi nauha na tha
god men maaon ki bachche rat-bhar rote rahe
paas poton valiyon ke kya koi qissa na tha
Leave a Reply