kisi ki ankhon ka zikr chheḌen ajiib kuchh pur-vaqar ankhen
magar ḳhuda vasta na Daale baḌi hi be-e’tibar ankhen
numa.ishi rasm-e-parda-dari rahegi jab tak to ye bhi hoga
naqab sarkegi jab zara bhi uThengi be-iḳhtiyar ankhen
jahan jahan rabt-e-chashm-o-dil hai vahan vahan baat chal rahi hai
nahin to bazm-e-ḳhamoshan men hazar dil hain hazar ankhen
naqab uTThi to apna aalam na tark-e-jalva na tab-e-jalva
nazar uThi baar baar lekin jhapak ga.iin baar baar ankhen
nazar mila kar nazar bacha kar nazar badal kar nazar chura kar
namuna ban ban ke kah rahi hain haqiqat-e-rozgar ankhen
kisi se iz.har-e-mudda.a par mira vo ḳhauf-o-hiras ‘mahshar’
kisi ki vo tez tez sansen kisi ki vo be-qarar ankhen
Leave a Reply