un ki surat nazar nahin aati
shab-e-gham ki sahar nahin aati
yuun to gardish men hai nazar un ki
ham jidhar hain udhar nahin aati
qatl bimar ko karo aa kar
chara-sazi agar nahin aati
aane vaali to thi magar kab tak
maut ki kuchh ḳhabar nahin aati
jam.a hain mai-kade men matvale
kyuun ghaTa jhuum kar nahin aati
kaun si vo bala hai hijr ki shab
jo miri jaan par nahin aati
jis ghaḌi ho bashar ko gham se najat
vo ghaḌi umr bhar nahin aati
aaj vo yuun laḌe hain ‘shankar’ se
sulh hoti nazar nahin aati
Leave a Reply