ik aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai
koi fasil-e-ana se utar bhi aata hai
tiri talash men jaane kahan bhaTak ja.un
safar men dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai
talash saa.e ki laa.i jo dasht se to khula
azab-e-surat-e-divar-o-dar bhi aata hai
sakun to jab ho ki main chhanv sehn men dekhun
nazar to vaise gali ka shajar bhi aata hai
badan ki ḳhaak sameTe hue ho kya logo
safar men lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai
dilon ko zaḳhm na do harf-e-na-mula.em se
ye tiir vo hai ki jo lauT kar bhi aata hai
main shahr men kise ilzam-e-na-shanasi duun
ye harf ḳhud mire kirdar par bhi aata hai
nazar ye kis se mili na-gahan ki yaad aaya
isi gali men kahin mera ghar bhi aata hai
hava ke ruḳh pe nazar ta.iran-e-ḳhush-parvaz
qafas ka saaya pas-e-bal-o-par bhi aata hai
main harf harf men utra huun raushni ki tarah
so ka.enat ka chehra nazar bhi aata hai
lahu se harf tarashen jo meri tarah ummid
unhin ke hisse men zaḳhm-e-hunar bhi aata hai
Leave a Reply