dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga
tumhare ishq men sab kuchh tabah kar lunga
agar mujhe na milin tum tumhare sar ki qasam
main apni saari javani tabah kar lunga
mujhe jo dair-o-haram men kahin jagah na mili
tire khayal hi ko sajda-gah kar lunga
jo tum se kar diya mahrum asman ne mujhe
main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga
raqib se bhi milunga tumhare hukm pe main
jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga
tumhari yaad men main kaat dunga hashr se din
tumhare hijr men raten siyah kar lunga
savab ke liye ho jo gunah vo ain savab
khuda ke naam pe bhi ik gunah kar lunga
harim-e-hazrat-e-salma ki samt jaata huun
hua na zabt to chupke se aah kar lunga
ye nau-bahar ye abru, hava ye rang sharab
chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga
kisi hasine ke maasum ishq men ‘akhtar’
javani kya hai main sab kuchh tabah kar lunga
Leave a Reply