ik sham.a anjuman men jalati rahi huun main
jal jal ke diip ḳhud hi banati rahi huun main
kya puchhte ho ab miri sanson ka rabta
ro-ro ke haal sab ko batati rahi huun main
har baar zindagi ne diya ik naya fareb
phir zindagi se aas lagati rahi huun main
shaḳhon se puchhti rahi hai sar-phiri hava
kis ke liye zamin sajati rahi huun main
rakhe hue khaḌi huun mohabbat munDer par
divar nafraton ki girati rahi huun main
hain abgina jaise miri zindagi ke rang
tufan se a.inon ko bachati rahi huun main
ban jaa.en kal saron pe ye saaya ghaner sa
paude jagah jagah pe lagati rahi huun main
nargis kaha kisi ne kisi ne kaha hai gul
ankhen zamin ke beach ugati rahi huun main
Leave a Reply