kisi ka tha vo fusun jo kiya kiya main ne
vo hosh tha ki junun jo kiya kiya main ne
jo ho chuka vahi kaafi hai dil dukhane ko
ab aur kuchh na karun jo kiya kiya main ne
mire vajud men shamil rahe hain kitne vajud
to phir ye kaise kahun jo kiya kiya main ne
har ik saval pe kitnon ke naam niklenge
koi javab na duun jo kiya kiya main ne
bahut aziim hai dushman karega kaun yaqin
kisi ka naam na luun jo kiya kiya main ne
ḳhuda ka shukr na bandon ka shukriya vajib
isi fareb men huun jo kiya kiya main ne
Leave a Reply