jo dasht ḳhvabon men aksar dikha.i deta hai
vo jagne pe mira ghar dikha.i deta hai
hamari ḳhama-tarazi se bach ke rahiye huzur
ki dast-e-mast men ḳhanjar dikha.i deta hai
jo duur se use dekho to chand jaisa lage
qarib jaao to patthar dikha.i deta hai
sanam tarash gursana hai in dinon shayad
ki har mujassama laghar dikha.i deta hai
na jis ki shakl hai us ki na jis ki umr us ki
vo mujh ko shishe men aksar dikha.i deta hai
hai us ka maujib-e-tamir koi jurm zarur
jo sab se uncha naya ghar dikha.i deta hai
rah-e-farar ḳhalaon men bhi nahin milti
bas ek gumbad-e-be-dar dikha.i deta hai
hai jis ki Thokaron men ab-e-zindagi ‘vamiq’
vo tishnagi ka samundar dikha.i deta hai
Leave a Reply