begana-e-qayud-e-bahar-o-ḳhizan rahe
yarab mira junun-e-mohabbat javan rahe
ye bhi samajh saki hai na ab tak nigah-e-shauq
tum ne kahan fareb diya aur kahan rahe
duniya men chak-dil ko nahin puchhta koi
kya jaane kitne ahl-e-junun be-nishan rahe
us anjuman men ham bhi pahunch to ga.e magar
jab tak rahe mizaj-e-nazar par garan rahe
kya kya jafa.en ki hain har ik aarzu ke saath
aur is tarah ki un pe vafa ka guman rahe
ab yuun karam na kar ki ba-in vasf-e-husn-o-naz
shayad tujhe bhi ishq ka sauda garan rahe
lene de apna naam bhi mujh ko ki mere ba.ad
tu bhi miri ghazal ke sabab javedan rahe
Leave a Reply