qahat-e-vafa-e-ahd-o-paiman hai in dinon
zoron pe ehtiyat-e-dil-o-jan hai in dinon
mal.un hain jo mausam-e-gul ke junun men hain
matruk rasm-e-chak-gareban hai in dinon
ye rasm-e-raftagan thi faramosh ho ga.i
apne kiye pe kaun pasheman hai in dinon
ankhen hain ḳhushk surat-e-sahra-e-be-giyah
siina hujum-e-ashk se giryan hai in dinon
ye kaisa ohda hai ki miri chashm-e-ḳhvab men
naqsh-e-qadam bhi dida-e-jabran hai in dinon
Darta huun apne saans ki sunta huun jab sada
dahshat bahut qarib-e-rag-e-jan hai in dinon
dida-daron ke ghar pe musallat hai tirgi
andhon ki anjuman men charaghan hai in dinon
bad-tar hai janvar se bhi danishvaron ka haal
jo sochta nahin hai vo insan hai in dinon
har bul-havas dhani hai muqaddar ka aj-kal
har be-zamir sahab-e-imkan hai in dinon
tujh se gila nahin hai ki tu phir bhi ghair tha
mera vajud mujh se gurezan hai in dinon
ji chahta hai ru-e-zamin par bikher duun
jo dard meri ruuh men pinhan hai in dinon
kaise chhuḌa.un kaise likhun sharh-e-dard-e-nau
har ek lafz zinat-e-zindan hai in dinon
yadon ke phuul hadd-e-nazar tak khile hain phir
dasht-e-firaq rashk-e-gulistan hai in dinon
Leave a Reply