ek main huun ek tu hai ba-ḳhabar koi nahin
haath men de haath apna sar-ba-sar koi nahin
shaam mushfiq hai qarib aa dard ka darman karen
raat ke sahra men apna chara-gar koi nahin
ret ke siine pe rah rah kar chamak uThta hai kuchh
ab ba-juz ik naqsh-e-pa ke rahbar koi nahin
moḌ ke baa.en taraf hai sang andazon ka shahr
dil sa a.ina na le ja shishagar koi nahin
jaane ye aaseb hai kis ki sada ka dar-ba-dar
main yahan huun main yahan huun dida-var koi nahin
DhunDte phirte ho kis ko chand ki mash.al liye
zindagi ik fasla hai muntazar koi nahin
Leave a Reply