chashm-e-nam se dekhta hai kyon miri chashm-e-pur-ab
tere dil ki barf ne dekha nahin hai aftab
yuun guzarti ja rahi hai zindagi ki dopahar
dil men ik ummid-e-kazib aur ankhon men sarab
ḳhud-sari us tund-ḳhu ki jaate jaate ja.egi
ek hi din men kabhi aata nahin hai inqalab
tum ne ham ko kya diya aur ham se tum ko kya mila
mil ga.i fursat kabhi to ye bhi kar lenge hisab
ham ko apna shahar yaad aata na shayad is qadar
kya karen rahta hai tere shahar ka mausam ḳharab
ek ḳhat likh kar samajhna farz puura ho gaya
vaah ‘basir’ ji tumhara bhi nahin koi javab
Leave a Reply