main ne sun rakkhi hai sahab ek kahani dariya ki
shaam kinare baiTh ke ik din vo bhi zabani dariya ki
varna ham bhi a.ine ke bhed se vaqif ho jaate
ham ne apni man-mani ki ek na maani dariya ki
ret ke chhoTe TukḌe par hi abadi maqsud hui
usi bahane charon janib hai sultani dariya ki
ankhen hi iz.har karen to shayad koi baat bane
suraj Dhalte vaqt jo dekhi thi virani dariya ki
sub.h-e-azal se ek hi jaise milte julte dariya hain
kis ne dekhi kis ne jaani shakl purani dariya ki
sat-samundar dekhne lag ga.e apne buḌhape ki jhuriyan
apne joban par jab aa.i shoḳh javani dariya ki
Leave a Reply