khinch laaya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak
ham-safar hone ka tera bhi irada kab tha
darguzar karti rahi teri khataen barson
mere jazbat o khayalat tu samjha kab tha
mauj-dar-mauj bhanvar khinch raha tha mujh ko
meri kashti ke liye koi kinara kab tha
zahiran saath vo mere tha magar ankhon se
bad-gumani ke naqabon ko utara kab tha
tujh ko maalum nahin apni vafaon ke evaz
jan-e-jan main ne jo chaha tha ziyada kab tha
do kinaron ko milaya tha faqat lahron ne
ham agar us ke na the vo bhi hamara kab tha
us ne meri hi rifaqat ko banaya mulzim
main agar bhiid men thi vo bhi akela kab tha
vo tira ahd-e-vafa yaad hai ab tak ‘mita’
bhuul baithi huun mohabbat ka zamana kab tha
Leave a Reply