jaane ab kho gaya kidhar paani
tha kabhi aankh ka guhar paani
maaro patthar bhi to nahin hilta
jam chuka hai ab is qadar paani
aane vaale hain kuchh hasin manzar
tu abhi aankh men na bhar paani
tab ghazal ki gali pahunchta hai
aankh se bah ke raat bhar paani
na sameta gaya na kaam aaya
main bhi huun jaise ret par paani
meri hasti ‘sahar’ hai bas itni
jaise sahra men buund bhar paani
Leave a Reply