
Shaukat Wasti
phuul se Dhalka hua os ka qatra huun main
shaḳh se TuuT ke girta hua patta huun main
chhoḌ ke chal diya hai jaise badan hi mujh ko
jis ki pahchan nahin koi vo saaya huun main
jo ki dar aaya tha rauzan se kiran ke hamrah
tere kamre men vo be-fa.eda zarra huun main
vadi-o-koh-o-bayaban se guzar kar aḳhir
shahr men aa ke jo kho jaa.e vo rasta huun main
apni ankhon se nazar hi nahin aata mujh ko
apne chehre ke liye aap hi parda huun main
buujh ke aur adaq ho vo muamma hui tu
khul ke jo aur ulajh jaa.e vo uqda huun main
ḳhud ujaḌ kar kiya hai main ne kisi ko abad
naqsh men Dhal ke jo miT jaa.e vo jazba huun main
mudda.a hai ki mukammal karun taslim use
kal jo kahta tha tiri zaat ka hissa huun main
‘shaukat’ is siine men mahsus nahin ab vo bhi
dil ke baa.is kabhi da.ava tha ki zinda huun main

Leave a Reply